قصورکس کا

Guest's picture

Humaray Mulk Main BAsnay Walay Ziada Tar Lgon Ka Manna Hai Kay Un Ke Bashtar Pareshaniyon Ka Bais Mojuda Or Sabqa Seyastdaan Hain.Un Kay Khayal Main Agar Humary Mulk Kay Seyasatdaant Achay Hotay To Humara Mulk Bhe Bartaneya Or Europe Ke Terha Har Terha Ke Gandagi or Buraee Say paak Hota...!
Un Kay Nuqta-e-Nazar Say Jaga Jaga Mojoood Kachray Kay Dhair,Barish Kay baad Galeyon Main Jama Honay Walay Pani Or Us Main Paida Honay Walay Machar,Machron Say Phalte Beemareyan,Salaheyat Honay Kay Bawajood Baghair Rishwat Deya Achi Rozgaar talash Karna jahaiz main larkkay walon k etaraf say car ya bangla ke demand karna,insaaf kay naam per Qanoon Ke Khulay Bando Pamali Karna,Kise bhe shakhs Ko izat,zati dushmani,chori kay khelaf mazahmat,adalaton main suchi gawahi dainay,or basaoqaat Jalan-0-hasad ke bina per din deharay qatal karna,kise ke jan ke parwa na kartay huay galeyon main nojawan larkon ka taiz raftaar motor cycle chalana,sarkon per badnizaam traffic kay honay ka zimay dar sirf humaray mulk kay seyasatdan hain.jin kay pass jin kay pass sab sahooleyaat or zarae honay kay bawajood un kay hal kay leya koi iqdamaat nahin kartay.
Is Kay Baraks Kuch Seyasatdano Ka Kahna Hai Kise Bhe Taraqe Yafta Mulk KeTaraqe Kay peechay Us Main Bashnay Wali Awaam ka TAwun Bohot Ahmeyat Rakhta Hai Kiyon Kay Qawaneen Or Asoolon Ke Pasdare Karna pooore Qom Per Lazim-o-Malzoom Hota Hai.Kise Bhe Mulk Ka Sadar Ya Seyasat Say Wabasta Chand Afrad Pooray Mulk Ke Bigarte Hue Halat Us Waqt Tak Nahin Badal Saktay Jab Tak Awaam Bharpoor Tawun Nahin Karte.
CHori,Rahzane,Dakaite,Loot maar,Qatal,Rishwat,Qawaneen Ke Pamale,Gun point pee mobile chenna,chori ya in jaisay chotay baray jaraim hum ya aap main say woh log saranjaam daitay hain jo mehnat karnay say No Kos Dorr Bhagtay HainOr Raton Raat Ameere Or Har Terha Kay Aish-o-Araam Hasil Karnay Kay Khwahish Dil Main Rakhtay Hain Na Kay Aik Sadar...!
Seyasatdaan Ka Kaam Upre-o-Bairoone Satah Per Mulk Kay Kaam Pooray Karna Or Awaam Ka Farz Nichle-o-Androone Satah Per Apnay Apnay Hissay Kay Kaam Khush asloobi Say Nibhana Hai.

Share this
No votes yet

Contact Author

Give feedback to author about this article.
CAPTCHA
This question is for testing whether you are a human visitor and to prevent automated spam submissions.