Manzil

laiq's picture

aayein apio ley kay chultay hain

filmo ka boycott kerdo,
inki masnooat ka boycott kerdo
inkay dramo ka boycott kerdo

do qadam or

is mulk ka baoycott kerdo
is akhbar ka boycott kerdo
is channel ka boycott kerdo
classo ka boycott kerdo
adalat ka boycott kerdo
hukumat ka boycott kerdo
nizam ka boycott kerdo
samaj ka boycott kerdo
mera boycott kerdo
tumhara boycott kerdo

aagay chultay hain

tum kafir ho
yeh kafir hain
woh kafir hain
inki gerdanien urado

or agay chultay hain

mulk ka satyanas
nizam ka bera garq
kabara

thora or aagay berhtay hain
taleemi nizam pey adam itminan
mera tum pey adam itminan
adalat ka adam itminan
awan e sadar ka adam itminan
fauj ka adam itminan

zara or agay

tabdeeli ki zaroorat hai….politician
tabdeeli ki ashad zaroorat hai….tajir
tabdeeli hamara mustaqbil hai….jageerdar
tabdeeli aakay rahay gee….sarmayadar

bus zara or aagay

aahini haato sey nimta jai ga
sakht action lia jai ga
mujrimo ko kaifer e kirdar tuk pohnchaya jai ga
sakhti sey nimta jai ga
koi kasar utha na rukhi jai gee

Yeh hai Pakistan…
bus yahin tuk pohnchana tha aapko a
agay aapki apni zimmaydari hai….

Share this
No votes yet

Contact Author

Give feedback to author about this article.
CAPTCHA
This question is for testing whether you are a human visitor and to prevent automated spam submissions.