Asalam-0-Alikum.,Pakistan Humara Piyara Mulk.Humaray Is Piyaray Mulk Main Har Kharabi Ka Zimay Daar Hukumat Ko Thahraya Jata Hai. Khwa Rishwat Satani Ho Ya Galeyon Main Banay Baray Garhay,Chahay Woh Barish Kay Baad Galeyon Main Jama Honay Wala Badbu Daar Pani Ho Ya Jaga Jaga Paray Gand Ka Dhar..,
Ise Terha Kay Roz Mar'ra Roz Mar'ra Zindigi Main Paish Anay Walay Lakhon Masail Hain Jin Per Har TAbqay Say Taluq Rakhnay ka Har Fard Acha Bol To Sakta Hai Lakin,Hum Main Say Koi Bhe In Kay Hal Kay Leya Koi Qadam Nahin Uthatay,Har kaam Ke Toseh Hukumate Satah Per Chahtay Hain.
Kiya Aik Pakistani Shahre Honay Kay Natay Humara Apna Koi Farz Nahin ???? Kay Hum In Sab Masin Ko Khatam Na Sahi In Ke Rok Thaam Kay Leya Koshesh To Kar Saktay Hain Kiya Kabhi Kise Nay Yeh Sochnay Ke Koshesh Ke Hai Kay Aik Doosray Ya Hukumat Ko Ilzaam Thahranay Kay Bajay Hum Logon Nay Khud Nay Kita kaam Keya Hai Is Sab Kay Hal Kay Leya Or Hum In Sab Per Kaisay Qabu Pa Saktay Hain ???
Meray Khayal Main Humain Infarade Tor Per In Masail Ko Khatam Karnay ke Koshesh Karni Chaheya Kiyon Kay Baaz Maslay Aisay Hain Jin Main Hukumate Nahin Infarade Taraqe Ke Zaroorat Hai.
Jin Main Sarae Fahrist Rishwat Hai Agar Hum Main Say Aik Shahre Rishwat Day Kar Apna Kaam Karwanay Ke Bajae Rishwat Dainay Say He Mana Kar Day Or Baqe Log Bhe Us Ke He Taqleed Main Amal Pera Hon To Hum Rishwat Per Ba'asaani Qabu Pa Saktay Hain.,Galeyon Main Gand Phanknay Ke Bajay Un Ko Kachray Kay Dabo Main Dala Jay Galeyon Ke Safae Rozana Apnay Ghar Ke Terha Karwae jay To Hum gand Say Paida Honay Wali Beemareon Say Bach Saktay Hain
Kiyon Kay Mulk Bhe Aik Ghar ke Terha hota Hai Jis Ko Sirf Hukumat Ke Nahin Is Main Basnay Walay Har Shahre Ke Tawaja Ke zaroorat Hote Hai.., Manjanib
-----------------------------------------
Who Is Responsiable For The Pakistan's System is an Urdu article by Hijjab Jaffri

Bookmark Site
Comments
Faults of pakistan
Sallam HIjjab ....
MAIn ne aap ka artical parha . Or muje bohat hi khushi hoye k abe b ese log abe baqee hain jo apne mulk ke taraqeee ke liye koshan hain . HIjjab aap ne jo b kaha hai bilkut thiek hai ..Hamare shehreon ka ye haq hai k wo apne mulak ke falah ke liye barh charh kar hisa len .. MUlaq bar main nazm-u-zabt peda kareen ..
ajj kal to ye dekhne main aya hai k log infaradi taraqi ke liye ijtamayee taraqi ko nazar indaz kar detee hain .jis ke waja se humara mulak taraqii ke bajayee pastee ki taraf ja raha hai .. Hum sub ko mil kar apne mulak ke taraqii ke liye shana beshana chalna chahyee ..
FRom ( SAMI )
pakistian ki situtaion
wah hiijab bb wah
nam tumhara hijjab hai per tum nay is nam ki koi laj nahn rakki
tum nay hummharay pk k itnay saray raz khol diya !!
Pakistan Ka Nizaam
Salam Hijjab Jaffri:-
Aap ki is koshish or kawish ko jitna saraha jaye utna kaam hai..! Aap is tarha ki koshish hum sab kartay rahen to mumkin hai kay anay walay waqton mein humhe in sab dushwarion ka samna na karna paray.. ji ka aap nay tazkira kiya hai..! Beharhaal Allah Aap ko umr-e-daraz Atta karay or is tarha apnay wattan say mohabbat aap kay dil mein ujagar rahe..!
Allah hafiz..!
hijjab app ney sari bat
hijjab app ney sari bat buhat achi khai hai .kyon k yahi aik sub sey bara masla humarey pakistan main hai jisko koi b tasleem nahi karta hai .agar tasleem kar lia jaey tu buhat sara masla hal ho sakta hai
from chaudhry
pakistan will not survive until...
Mera manna ya ha ka pakistan ki bunyaad hi galat or dhoka dahi pa ha,,,
pareshan hone ki koi zarorat nahi ha,
agar kisi saab ko meri baat se ikhtalaf ha tu muje email kar sakte hain is ID pa
raoasifjah@gmail.com
ab sunye...
pakistan 4 province pa mabni ha, or agar sirf in charoo sobo ki political movement or progress pakistan established hone se pehlay dekhi jae tu saaf maloom hota ha ka in char sobo ma rehne waly muslims itne active nahi hote banisbat india k mulims k,
mera kehna ya ha ka
2 qomi nazarya ka naaar aik dhong tha,, jis ke zarya indo-pak ke muslims ko jama kar ke aik powerful awaz lagai gai english crown k samne or aik alag mulak ki demand ki gai, magar is mulak ki demand pori hone k foran baad india ke mulims ko saaf bol diya gaya k ap log apni jang alag kare..
is ke liye hawala aagr ap cahte hain tu
Mr. Iqbal ka khutba e Allahabad
or Mr. Jinnah ki first speech on India Radio pa sune..
ya sarasar zulm ha jis ki bunyaad ma lakho beguna muslims ka khoon bahaya gaya in ko dhoka diya gaya or in ko pakistan ma koi jagha nahi di gai,,
meri baat sab jante hain magar koi dil ki baat zaban pa nahi lata
agar meri baat se ap disagree karte hain tu ap panabi, sindhi, pathan or bilochi ho ge beshak magar ap pakistani nahi hosakte.
ya mulak nahi bachae ga os waqt tak jab ap sab log apna panjabi sindhi pathan or bilochi culture zaban ko pechay chor kar aik new culture ko janam de phir aikl new culture aik zaban bolne wale bane jesa americans ne kiya,,
or muje yaqeen ha k koi bhi aesa nhi kare ga
is liye ya mulak kabhi nahi bacahe ga
is ke dushman is tafreeq ka bhohat faida le ge or divide and rule se is ko aik din taba barbad kar de ge,,