aakhir ye dehshat gardi kab tak?? kab tak ye zulm ka bazar laga rahay ga?? kab tak hum apnay hi masoom musalmanon ka khoon kertay rahain gaay?? aakhir ye koun log hain jo hum ko hi mar rahay hain aur hum ko hi badnam bhi ker rahay hain??aakhir hum in hathon ko kiun nahi rok pa rahay? ye koun hain jo hum main hi rehtay hain aur humari hi jarain kaat rahay hain??
ye woh sawalat hain jo aaj kal hur zehan main uthtay hain aur jin ka koi jawab hum tak nahi aata hur roz lashain utha utha ker hum behis to ho rahay hain laikin un hathon ko nahi rokpa rahay jo humari barbadi ka intazam ker rahay hain
aaj ye soorathal ho gaihai k hum kissi jaga dhamakay se logon k marnay ki khabar suntay hain aur thori si dair ruk ker apnay kamon main magan ho jatay hain laikin kiun aakhir kiun hum behis hotay ja rahay hain??
hazoor (peace be upon him) ne fermaya tha k aik waqt aisa aaye ga jab marnay walay ko ye nahi pata ho ga k kiun mar raha hai aur marnay walay ko ye nahi pata ho ga k kiun mara giya hon
kiya ye wohi waqt nahi jab hur taraf se lashain to uth rahi hain laikin qatil aur maqtool donon anjan k ye kiun kia ja raha hai aur jo ker rahay hain un tak humari nazrain pohanch hi nahi rahi hain laikin kab tak kiya woh ALLAH ki be-awaz lathi se bach pain gaay??maira aik shair hai jo mairi kitab "hissar-e-mohabbat" main se liya gaya hai aur compose kiya gaya hai us main maira sawal inhi logon se hai k tum jitni marzi dehshat phaila rahay ho to kab tak tum khud zinda raho gaay? aur jab tum ALLAH k samnay jao gaay to aik dardnak azab tumhara muntazir hai
akhir main ALLAH se dua hai k woh hum sab ko apnay hifz-o-aman main rakhay aur hum per aye howe is dehshatgardi k azab se hum ko nijat dilaye aur in mujrimon ko jald az jald kaifr-e-kirdar tak pohnchahiye ameen
| Attachment | Size |
|---|---|
| shair 8.jpg | 45.42 KB |

Bookmark Site